Pages

Thursday, July 29, 2010

Sardar Asif

Kis taraf rakhta nasihat , zahan khali hi na tha ,
Bheek leta kaun jab koi sawali  hi na  tha .


Waqf tha shaid main aawarah parindon kay liye ,
Woh khandar tha main ki jiska koi wali hi na tha.

Woh haveli kahnay ko thi aaj bhi uskay hi naam,
Khud kahaan rahta ki kamrah koi khali hi na tha.

Dusron kay kuch ziyada hi zarooro kaam thay ,
Tal gaya phir kaam apna Aaj khali hi na tha .

Tuesday, July 27, 2010

Sardar Asif

Main Lafz Lafz bhatakta hua swalee saa ,
Budhaapa aa gaya,kashkol phir bhi khali saa.

Badal chuka hoon,meray aaina main hota tha  ,
Puraani baat hai ,ek shaks  La-ubaali  saa.

Kabhi woh shaks lagay Ja-namaaz jaisa paak.,
Kabhi woh chehra lagay Aarti ki thaali saa.

Tamaam phool umeedon kay ho gaye rukhsat ,
Main ho gaya kisi sookhi udaas  daali saa.

Tuesday, July 20, 2010

AKHTAR SHAHJAHANPURI


Teray Shaanon pay gaisu  boltay hai ,
Isi  ko log  jaadu  boltay  hain.


Hmain masloob  kar  day  ye  zamana ,
Ki hum khushbu ko khushbu boltay hain.


Abhi tahzeeb ka  noha na likhna ,
Abhi kuch log Urdu boltay hai.


Zaban qasir ho jab izhare-e-gum  say ,
Baqadre-e- zarf   Aansoo boltay hain.


Meray alfaz roshan hain ki "Akhtar"
Shabe-teerah main jugnu boltay hain.

Monday, July 19, 2010

Masroor Shahjahanpuri

"Ghalib" hon ki "MOMIN" hon ki hon Meer Taqui "MEER ,
Har ek sukhanwar ki yahaan chaap bahut  hai    ,
MASROOR  koi raah  alag dhundiye  apni ,
Is kuchai-e- mashooq main ghunchap bahut hai.

                                *************

Urdu adab main saikdon Ghazlain yateem hain ,
Unko mushairon  main saleeqay say bhair do ,
Aisa na ho ki aur koi unko  lay  uday ,
"MASROOR" unmain apna takhallus ghuser do.




                        ***************

Ghazal jab pit gai MASROOR ki Jumman say wo bolay ,
Sukhangoi jahaan say maailay  parwaaz lagti hai .\,
Na ab "MOMIN" hain duniya main na baqi hain chcha "GHALIB"
Hamari bhi tabiat aaj kuch nasaaz  lagti hai.

Saturday, July 17, 2010

SALEEM SHAHJAHANPURI

meri manzilen koi aur hain, mera raasta koi aur hai
mere hamsafar koi aur hain, mera rehnumaa koi aur hai

na shikasta kashti ka koi dar, na bhanwar ka mujhko koi khatar
meri naakhudaa pe nazar naheen, mera naakhudaa koi aur hai

meri manzilon ka nishaan naheen, ye zameen naheen, ye zamaan naheen
main aseer-e-husn-e-butaan naheen, mera dilrubaa koi aur hai

main hoon ek banda-e-baawafaa, hai mera bhi ek qavee Khudaa
main jo zaalimon ka hadaf banaa, to ye maajraa koi aur hai


ye mu'amma radd-o-qubool ka, ye hai niyaton ka m'aamla
na teri du'aa koi aur hai, na meri du'aa koi aur hai

na hain zaagh par koi bandishen, na hain bom par koi qadghanen
jo hain bulbulon pe qayaamaten, to ye silsilaa koi aur hai

koi laakh-laakh jatan kare, koi batn-e-ghaar men ja chhupe
jo ajal ki zad se na bach sake, to ye mas'alaa koi aur hai

jahaan qeht-e-aab-e-ravaan na ho, jahaan koi dushman-e-jaan na ho
jahaan band raah-e-amaan na ho, to wo karbalaa koi aur hai

main aseer-e-ranj-o-mahan rahoon, magar apne gham men magan rahoon
main 'saleem' shukr-e-Khudaa karoon, mera mudda'a koi aur hai

Friday, July 16, 2010

Shamsuddin Ahmad "SHAMS"

AA  gaya ,mousame-e-khushgawar , aa gaya,
woh hansay phool ,ahd-e-bahar  aa  gaya .

Meri nazron main thee maut dil ki wahi,
 Jab mohabbat main Dil ko qarar aa gaya.

Uf meri saadgi,  uf mera jazb-e- shauq
Jhuti qasmon pay bhi aitabaar  aa  gaya.

Aaj poocha hai tum nay is andaaz say ,
Aa gaya , meray Dil ko Qaraar  aa gaya.

Aiga aaj kya koi  waada - shikan ,
Kyon dil-e-gamzada ko qarar aa gaya.

Main kahan aur kahan "SHAMS" bazm-e-nishat,
Haan muqaddar mera saazgaar aa gaya .

Hakim Ahmad Ali Khan "WAFA"

"WAFA" baar-e-Amaanat ka uthaana sakht mushkil tha ,
Farishton   say  jo  baazi  lay   gaya, insaan   ka   dil tha  ..

Asar say aashna hotay na kyon naalay mohabbat kay ,
Ki  rudad-e-mohabbat main ,tumahara naam shamil  tha.

Na pooch , ae humnasheen ! barbadiun ki dastan mujhsay,
Jisay  tufaan main samjha tha ,haqeeqat main woh Sahil tha.

Kuch is andaaz say usnay meray Dil par nazar daali  ,
Ki apnay Dil to phir apna samajhna mujhko mushkil tha.

Abhi tak yaad hain dushwarian , rahe-muhabbat ki ,
"WAFA" dogaam bhi chalna jahaan ek amre-mushkil tha.

Tuesday, July 13, 2010

Shameem Bukhari


Hasrato-o-yaas main aahon kay siwa kuch bhi nahin ,
Dil ki moham pukaron kay siwa kuch bhi nahin .


Unki turbat kay liye Phool Kahan say laaoon ,
Meray daman main to kanton kay siwa kuch bhi nahin.


Sahnay Gulshan main nasheman jo banaya tha kabhi ,
Wahan udtay huay tinkon kay siwa kuch bhi nahin.


Lakh chahoon magar hoton pay hansi la na sakoon ,
mere in aankhon main ashkon kay siwa kuch bhi nahin.


Kaun kahta hai ye is saaz ko cheroon phir say ,
Jis main tootay huye taraon kay siwa kuch bhi nahin.


Aye ajal mujhko bhi too pass bulalay apnay ,
Abto ristay huye zakhmon kay siwa kuch bhi nahin.


Is duniya main na ab aaye koi aur "SHAMEEM"
Jahan chubtay huye kharon kay siwa kuch bhi nahin



Sunday, July 11, 2010

Muzaffar Shahjahanpuri

teri to chaand sitaaron mein baat hoti hai
chaman chaman mein bahaaron mein baat hoti hai

mere junoon se wo shoharat hai tere jalwon ki
jidhar bhi jaao hazaaron mein baat hoti hai

sitam wo karte hain jis par badi tavajjoh se
ye us ke un ke mukaddar ki baat hoti hai

tere shabaab ko dekha sharaab chooT gayi
yehi sharaab ke maaron se baat hoti hai

Muzaffar Shahjahanpuri


jeene ka raaz maine muhabbat mein paa liya
jis ka bhi gham hua use apna banaa liya

sun-ne ko jab na koi mila daastaan-e-gham
aaiina rakh ke saamne khud ko sunaa liya

tum gham ka bojh ro-ke bhi halka na kar sake
maine hansii ki aaD mein har gham chhupaa liya

Thursday, July 1, 2010

कैसर शकीली


कैसर शकीली, शाहजहांपुरी

नुमाइंदा कलाम

एक फरेबे मुस्तकिल था वादा-- फर्दा मगर
ज़िन्दगी भर हम किसी का रास्ता देखा किये


पिआस कैसी थी के जो हस्ती पे ग़ालिब गयी
पी के पानी सो गए हैं लोग दरया ओढ़ कर



नुमाइंदा कलाम : -


तख्युल से ऊंचा मोहम्मद(saw) का रुतबा 
तफ़क्कुर से आगे मुकाम-ए-मोहम्मद (saw)

मिल जाएँ जहाँ नक्श-ए-काफ-ए-पाए शाह-ए-दीं 
ईमान का तकाज़ा है के आँखों से लगाएं 
 
                                                                                                                                                                                            


आरज़ू की वुसुअतें तो हैं अज़ल से ता अबद
हाल से मेरे गुरेज़ाँ है तो मुस्तकबिल में आ 








चल तो निकले हैं सर-ए-राह-ए-वफ़ा ऐ कैसर 
फूल अब हम पे बरसते हैं के कांटे देखें 







SHAHER-E-DIL , SHAHJAHANPUR(UP)

Yes, Shahjahanpur is the home town of (late) Hazrat DIL, a renowned poet and hakim of his time. The contribution of many more master (Ustad) poets of this city have made urdu poetry richer.

EK SHER : Dil hoo.n yehi fitrat hai aey aehl-e-nazar meri
Mei.n seena-e- AAlam mei.n har waqt dharakta hoo.n