Pages

Friday, December 24, 2010

" Rah gaya ahbaab ka naam b-naam shukriya  to is silsilay main hamaaray moatbar dost aur dereena Shair  Janab Raunaq Musawwar nay apnay Majmua Kalaam " BAAZYAFT' main lag bhag  300 logon ka shukriya adaa kar kay ham sab ki taraf say  ye kuffara ada kar diya hai. Aaj tak mashkoor logon ki  itni mufassil , mukammal aur mohmal Fahrist kisi aur kitaab main dekhnay ka itifaaq Nahin Hua. "
                                MASHOOD JAMAL    " NAAM MAIN KYA RAKHA HAI "  SAY

Wednesday, December 8, 2010

ZAKI JEDDAH

.Jalltay chiraghon ki roshni yahan tak aa pahonchi ,
Main tha andheron main, deed ki hasrat barah di logon ne.
                                                        Zaki Jeddah.

Saturday, December 4, 2010

Chunay huye Ashaar , 20.11.2010 Mushaairay kay .

Jaleel Ek shamaa Aarzoo Kar kay mujh main roshan ,
Sulagtay rahnay ka meray Saamaan kar gaya woh.

Zafar Jaleel Salfi



Tees us dard ki bataain kya ,
Jo teri Kaj-adaai deti hai .
M.Noor Khan "NOOR"



Usay to raat main bas Aasmaan hi sunta hai ,
Ye phoot-tay hue Khaamoshion kay naghmay hain.

Dr. Husain Ahmad "AAZM"


Unka Andaazay Taghaaful bhee "NASEEM"
EK Tawajjah Ki Ada ho jaisay.
Naseem Shahjahanapuri


Mujhsay kabhi baatil ki himaayat nahin ho gee,
Chahay mujhay Jeenay ka hunar aaye na aaye.
Waseem Menaai

Utha day haath woh momin jisay chalna ho jannat main,
Jahaan lazzat ka har samaan hai,halwa hai poori hai ,
Allawa in lawazam kay Available hain Hoorain bhee.,
Magar Jannat main jaanay kay liye Marna Zaroori hai.

Masroor Shahjhanapuri