Pages

Monday, January 31, 2011

डूबते जा रहे हैं सफीने,  और साहिल न पाया किसी ने ,
कोई खिन्दा रहा कोई गिरयां ,ज़िन्दगी के यही हैं करीने.
यास-ओ-हसरत से देखा किये हम,चलदिये काफिले सब मदीने.
आखिरी शब् हुई शमा खामोश ,काविशें बहुत की ज़िन्दगी ने .
और फरेबे-नज़र खाने वाले,खाई ठोकर यहाँ हर किसी ने.
ओजे-हस्ती में पिनाह थी पस्ती,सब मिटा दी मेरी एक खुदी ने.
क्या नज्मे-चमन है 'शमीम'अब ,फूल हंसते न पाए किसी ने .

Friday, January 28, 2011

Mareez-e-Gum ki har ek Aah  jab nakaam hoti hai,
Jamal-e-Sahar bhi  uski Nazar main Shaam hoti hai.


Ye sab Dil ka tha bahlaawa , Maseeha-e-Zamaan Aatay,
Ba-waqt-e- Naza  , har koshish  Abas Nakaam  hoti hai.


Chhupa kar Ishaq ki Roodaad  ko nazaan  hai   Ae, gaafil,
Kahaani to hamesha say , ye Tasht-e-az-baam  hoti hai.


Nazar anjaam par kartay hi  kyon Ishaaq Deewaanay ,
Mohabbat ki Nazar Na Waqif-e-Anjaam  hoti  hai.


Na pakar apni Manzil ko  bhatak jaata hai   jab Rahee,
Rahe-maqsood  bhi tab usko   Raahe- aam hoti hai.


Jalaaya Aashiyan Aisa  na hai koi Nishaan  Baaqi ,
Nazar hasrat bhari uthti hai  aur nakaam hoti hai,


"Shameem" char- soo rahtay hain Maut-o-Zeest kay charchay,
Nizaama-e-Dahar hai  ye roz subah-o- shaam hoti hai.


                          SHAMEEM  BUKHARI



Thursday, January 20, 2011

Wo be-hijaab  Sare-Bazm  Aa kay  pachtaaye,
Kisi   kay Hosh pay Bijli    Gira kay  pachhtaaye..

Nawazishain teri har Sijda-roo pay theen Lekin,
Ham Aastaan pay teray Sar jhuka kay pachhtaaye.

Khushi ka apni kiya Ham nay  istarah   Maatam,
Chaman main jaisay  Kali muskra kay pachhtaaye.

Wo raah Ishq Ki Qurbaaniyaan  na poochh ae Dost,
Wafa  kay Naam pay Hasti mita kay  pachhtaaye.

Na iltifaat hi paaya  Na Chashme-Wa main Tarham,
Fasaanaye Dil- muztar  Sunaa   kay   pachhtaaye.

Unheen ki zaat say Khaaye Freb yun  payham,
Ki aaj Ham unhain  Apna bana  kay  pachhtaaye.

Huye "SHAMEEM" ki  bedaad  par bahut Barham,
Usay Woh Bazm main apni bulaa kay  pachhtaaye.

                                  SHAMEEM  BUKHAARI

Wednesday, January 19, 2011

Bezaar Ho chukay hain  is Aashiaan say Ham,
Lo  aaj ja rahay hain teray Gulistaan say Ham.


Bulbul ki Griya-v-zaari nay ukta diya hamain,
Daaman chuda rahay hain Aaho-Figaan say Ham.


Aaya karain Chaman main Bahaarain to kya gharz,
Bas Sair ho chukay hain , Bahaaron-Khizan say ham.


Aakhir phir uski yaad nay tadpa diya hamain ,
Jis ko bhula chukay thay Dil-e-Naatawaan say Ham..


Jis be-wafa kay dar say uthay kha kay thokrain ,
Ab phir milain gay kya ,usi na-mahrbaan say Ham.


Zeray Falak huye hain Sitam kuch na poochiye,
Nalaan Zameen say thay Na kabhi Aasmaan Say Ham.


Dil main hazaar Hasrto-Armaan liye  "SHAMEEM",
Na-shaad-o-Na -Muraad chalay is Jahaan say ham.

Sunday, January 16, 2011

तेरी  तलाश है लेकिन निशाँ  नहीं मालूम ,
की तू यहाँ है ,वहां या  कहाँ नहीं मालूम .


भटकते फिरते हैं  हम यूँ ही सहन-इ-गुलशन में ,
है किस तरफ को मेरा आशियाँ नहीं मालूम.


खबर है दीन से, ओक्बा का न डर है मुझको,
ज़मीं केसी है , क्या आसमान नहीं मालूम.


किया तलाश बहुत मुझको  काफला न मिला,
लुटा था ज़ेरे-फलक  कारवाँ नहीं मालूम. ,


सुना क़फ़स में था में ने  की जल गया गुलशन,
बचा की ख़ाक हुआ आशियाँ  नहीं  मालूम.


न पूछो मुझसे मेरी बे-खुदी का ये आलम,
की दिल किधर है ,जिगर है कहाँ नहीं मालूम.


में किस तरह से कहूं  हाले-दिल  किसी से "शमीम"
हो कितनी दर्द भरी दास्ताँ नहीं मालूम.




                        शमीम बुखारी 
Hasrato-o-yaas main aahon kay siwa kuch bhi nahin ,
Dil ki moham pukaron kay siwa kuch bhi nahin .


Unki turbat kay liye Phool Kahan say laaoon ,
Meray daman main to kanton kay siwa kuch bhi nahin.


Sahnay Gulshan main nasheman jo banaya tha kabhi ,
Wahan udtay huay tinkon kay siwa kuch bhi nahin.


Lakh chahoon magar hoton pay hansi la na sakoon ,
mere in aankhon main ashkon kay siwa kuch bhi nahin.


Kaun kahta hai ye is saaz ko cheroon phir say ,
Jis main tootay huye taraon kay siwa kuch bhi nahin.


Aye ajal mujhko bhi too pass bulalay apnay ,
Abto ristay huye zakhmon kay siwa kuch bhi nahin.


Is duniya main na ab aaye koi aur "SHAMEEM"
Jahan chubtay huye kharon kay siwa kuch bhi nahin


Friday, January 14, 2011



Shab ka sannata to simta hi nahin,
Apnay aangan Chand utra hi nahin.


Dashtay  Ahsaasay-Talab main  Dosto,
Phool bhi chhubtay hain,Kaanta hi nahin.


Ab kisay Aawaaz DooN ,Jaaun kahan ,
Is Gali main koi rahtaa  hi   nahin.


Raastay to meray ghar aatay thay  sab ,
Lot kar lekin woh aaya hii  nahin.


Ratjagay apna muqqadar ban  gaye,
Qaafla neendon ka tahra hi nahin .


Kya basera kijiye uspar "Shameem",
Jis  shajar main sabz patta hi nahin.


                       SHAMEEM SHAHJAHANPURI

Wednesday, January 5, 2011

SHAMIM SHAHJAHANPURI

Tamaam Lafz usi Khaliqay-Jahaan kay thay ,
Ham ahlay-e-fikro-nazar misl tarjumaan kay thay.

Basay huye Jo meray dasht-e-zahan-o-Dil main hain,
Khabar nahin ye parinade kahan kahan kay thay.

Khlej paat kay bhi waahmon ki dukh ye hai ,
Unhain na kaat sakay waar jo Zabaan kay thay.

Musafarat main Nazar kab na suye Manzil thee,
Hawaas gum to faqat Meeray-kaarvan kay thay.

Usay bhee yaad rahaingay tamaam umr "SHAMEEM",
Wo faaslay jo meray uskay darmiyaan kay thay.


SHAMEEM SHAHJAHANPURI

Monday, January 3, 2011

SHAMIM SHAHJAHANPURI



"  रात  एक  कहर  है , दर्द  का  शहर  है .      राह   तकते  रहो  "


कोई  आहट  नहीं  , कोई  मंज़र  नहीं  ,
वक़्त  के  हाथ  में  कोई  पत्थर  नहीं ,
बे -ताल्लुक  सी  हर  सांस  की  लहर  है .                 सर  पटकते  रहो .


टूटती  आरजू  जाने  क्या  कह    गई  ,
आँख  हैरत -ज़दा  देखती  रह  गई  ,
डूब  जाओ  की  ये  करब  की  नहर  है  ,                  या   हुमकते  रहो .


आस  जबतक  रहे  यूँ  ही  जीते  रहो ,
आग  खाते  रहो ,खून  पीते  रहो ,
बे  यकीनी   तो  बस  ज़हर  ही  ज़हर  है .          क्यों  सिसकते     रहो .


  रात  एक  कहर  है , दर्द  का  शहर  है .      राह   तकते  रहो  "




                    शमीम  शाहजहांपुरी