Pages

Saturday, December 22, 2012

SABIR JALALABADI





Aaj  Sabir Jalalabadi say  Jauhari saheb nay mulaqaat  karwa di aur is mauqay par
Dr. Mamnoon saheb bhi maujood thay . Bahut achcha laga. Shaair ka kalaam uskay hi zariye sunnay ki baat hi kuch aur  hoti hai.



Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai
tere hathon ke lakiron mein mera naam to hai
mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
tu zamane mein mere naam se badanam to hai
mere hisse mein koi jam na aaya na sahi
teri mahafil mein mere naam koi sham to hai
dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main khush hun muhabbat ka ye anjam to hai
wo sitamagar hi sahi dekh ke usako “sabir”
shukr is dil-e-bimar ko aaram to hai
 Ghazal  by: Sabir Jalalabadi

No comments: