Pages

Saturday, July 17, 2010

SALEEM SHAHJAHANPURI

meri manzilen koi aur hain, mera raasta koi aur hai
mere hamsafar koi aur hain, mera rehnumaa koi aur hai

na shikasta kashti ka koi dar, na bhanwar ka mujhko koi khatar
meri naakhudaa pe nazar naheen, mera naakhudaa koi aur hai

meri manzilon ka nishaan naheen, ye zameen naheen, ye zamaan naheen
main aseer-e-husn-e-butaan naheen, mera dilrubaa koi aur hai

main hoon ek banda-e-baawafaa, hai mera bhi ek qavee Khudaa
main jo zaalimon ka hadaf banaa, to ye maajraa koi aur hai


ye mu'amma radd-o-qubool ka, ye hai niyaton ka m'aamla
na teri du'aa koi aur hai, na meri du'aa koi aur hai

na hain zaagh par koi bandishen, na hain bom par koi qadghanen
jo hain bulbulon pe qayaamaten, to ye silsilaa koi aur hai

koi laakh-laakh jatan kare, koi batn-e-ghaar men ja chhupe
jo ajal ki zad se na bach sake, to ye mas'alaa koi aur hai

jahaan qeht-e-aab-e-ravaan na ho, jahaan koi dushman-e-jaan na ho
jahaan band raah-e-amaan na ho, to wo karbalaa koi aur hai

main aseer-e-ranj-o-mahan rahoon, magar apne gham men magan rahoon
main 'saleem' shukr-e-Khudaa karoon, mera mudda'a koi aur hai

No comments: