AA gaya ,mousame-e-khushgawar , aa gaya,
woh hansay phool ,ahd-e-bahar aa gaya .
Meri nazron main thee maut dil ki wahi,
Jab mohabbat main Dil ko qarar aa gaya.
Uf meri saadgi, uf mera jazb-e- shauq
Jhuti qasmon pay bhi aitabaar aa gaya.
Aaj poocha hai tum nay is andaaz say ,
Aa gaya , meray Dil ko Qaraar aa gaya.
Aiga aaj kya koi waada - shikan ,
Kyon dil-e-gamzada ko qarar aa gaya.
Main kahan aur kahan "SHAMS" bazm-e-nishat,
Haan muqaddar mera saazgaar aa gaya .
No comments:
Post a Comment