Pages

Tuesday, July 13, 2010

Shameem Bukhari


Hasrato-o-yaas main aahon kay siwa kuch bhi nahin ,
Dil ki moham pukaron kay siwa kuch bhi nahin .


Unki turbat kay liye Phool Kahan say laaoon ,
Meray daman main to kanton kay siwa kuch bhi nahin.


Sahnay Gulshan main nasheman jo banaya tha kabhi ,
Wahan udtay huay tinkon kay siwa kuch bhi nahin.


Lakh chahoon magar hoton pay hansi la na sakoon ,
mere in aankhon main ashkon kay siwa kuch bhi nahin.


Kaun kahta hai ye is saaz ko cheroon phir say ,
Jis main tootay huye taraon kay siwa kuch bhi nahin.


Aye ajal mujhko bhi too pass bulalay apnay ,
Abto ristay huye zakhmon kay siwa kuch bhi nahin.


Is duniya main na ab aaye koi aur "SHAMEEM"
Jahan chubtay huye kharon kay siwa kuch bhi nahin



No comments: