Kis taraf rakhta nasihat , zahan khali hi na tha ,
Bheek leta kaun jab koi sawali hi na tha .
Waqf tha shaid main aawarah parindon kay liye ,
Woh khandar tha main ki jiska koi wali hi na tha.
Woh haveli kahnay ko thi aaj bhi uskay hi naam,
Khud kahaan rahta ki kamrah koi khali hi na tha.
Dusron kay kuch ziyada hi zarooro kaam thay ,
Tal gaya phir kaam apna Aaj khali hi na tha .
No comments:
Post a Comment