Pages

Friday, January 28, 2011

Mareez-e-Gum ki har ek Aah  jab nakaam hoti hai,
Jamal-e-Sahar bhi  uski Nazar main Shaam hoti hai.


Ye sab Dil ka tha bahlaawa , Maseeha-e-Zamaan Aatay,
Ba-waqt-e- Naza  , har koshish  Abas Nakaam  hoti hai.


Chhupa kar Ishaq ki Roodaad  ko nazaan  hai   Ae, gaafil,
Kahaani to hamesha say , ye Tasht-e-az-baam  hoti hai.


Nazar anjaam par kartay hi  kyon Ishaaq Deewaanay ,
Mohabbat ki Nazar Na Waqif-e-Anjaam  hoti  hai.


Na pakar apni Manzil ko  bhatak jaata hai   jab Rahee,
Rahe-maqsood  bhi tab usko   Raahe- aam hoti hai.


Jalaaya Aashiyan Aisa  na hai koi Nishaan  Baaqi ,
Nazar hasrat bhari uthti hai  aur nakaam hoti hai,


"Shameem" char- soo rahtay hain Maut-o-Zeest kay charchay,
Nizaama-e-Dahar hai  ye roz subah-o- shaam hoti hai.


                          SHAMEEM  BUKHARI



No comments: