Pages

Friday, January 14, 2011



Shab ka sannata to simta hi nahin,
Apnay aangan Chand utra hi nahin.


Dashtay  Ahsaasay-Talab main  Dosto,
Phool bhi chhubtay hain,Kaanta hi nahin.


Ab kisay Aawaaz DooN ,Jaaun kahan ,
Is Gali main koi rahtaa  hi   nahin.


Raastay to meray ghar aatay thay  sab ,
Lot kar lekin woh aaya hii  nahin.


Ratjagay apna muqqadar ban  gaye,
Qaafla neendon ka tahra hi nahin .


Kya basera kijiye uspar "Shameem",
Jis  shajar main sabz patta hi nahin.


                       SHAMEEM SHAHJAHANPURI

No comments: