Pages

Wednesday, January 5, 2011

SHAMIM SHAHJAHANPURI

Tamaam Lafz usi Khaliqay-Jahaan kay thay ,
Ham ahlay-e-fikro-nazar misl tarjumaan kay thay.

Basay huye Jo meray dasht-e-zahan-o-Dil main hain,
Khabar nahin ye parinade kahan kahan kay thay.

Khlej paat kay bhi waahmon ki dukh ye hai ,
Unhain na kaat sakay waar jo Zabaan kay thay.

Musafarat main Nazar kab na suye Manzil thee,
Hawaas gum to faqat Meeray-kaarvan kay thay.

Usay bhee yaad rahaingay tamaam umr "SHAMEEM",
Wo faaslay jo meray uskay darmiyaan kay thay.


SHAMEEM SHAHJAHANPURI

2 comments:

SALEEM said...

Tamaam Lafz usi Khaliqay-Jahaan kay thay ,
Ham ahlay-e-fikro-nazar misl tarjumaan kay thay.


BAHUT KHOOB SHAMIM SAHEB.

Anonymous said...

IЎЇm delighted that I have noticed this weblog. Lastly something not a junk, which we go through incredibly frequently. The website is lovingly serviced and saved as much as date. So it need to be, thank you for sharing this with us.