Pages

Sunday, February 20, 2011

DOST HAQEEQI SAY KHITAAB

Mujhko Ae Dost woh teri si Mohabbat na mili.

Yun to har taur  say Shaaista  Sohbat to mili,
Mahfile-Dost main Dil ko meray Farhat to mili,
Husn-o-Ekhlaaq ki La-intiha rafat to mili.

Magar Ae Dost Woh teri si Mohabbat na mili.

Ham nay moujon ka galay moujon say milna dekha,
Aur Juda honay pay rah rah kay machalna dekha,
Fart-e-Gam main  Sar ko Sahil say patakna dekha,

Lekin Ae dost woh teri si Mohabbat na mili.

Gul-o-Bulbul kay woh pur-dard fasaanay dekhay,
Zauq-e-Gul-bosi main pur-shauq taranay dekhay,
Ah Gul par Ashk Shabnam kay bahaanay dekhay.

Magar Ae Dost woh teri si Mohabbat na mili.

Ishq main Shama kay Parwaanay ko jaltay dekha,
Gum main parwaanay kay Shama ko pighaltay dekha.
Sahar honay talak donon hi ko mit-Tay dekha.

Magar Ae Dost woh teri si mohabbat na mili.

Yun to Duniya main naye Dost bahar-gaam milay,
Magar is tarah kay jaisay Sahr-o-Shaam  milay,
Meray altaaf  say pur saikdon paighaam milay

Lekin Ae Dost woh teri si Mohabbat na mili.


                               SHAMEEM  BUKHARI

No comments: