Pages

Wednesday, February 16, 2011

YAADAY MAAZI

Apnay Gulshan ki si woh baat kahaan say laaun,
Hamnawaaon ki mulaaqaat  kahaan  say laaun,
Wahi Aazaadi kay Lamhaat kahaan say laaun.
                                 Woh Subah Shaam Woh Din Raat kahaan say laaun.
Kitna pyara tha hamain,Ah watan chhoot gaya ,
Baamo-Dar chhoot gaye,Sahne-Chaman Chhoot gaya,
Woh Zameen Chhoot gai ,pyara Gagan chhooy gaya ,
                                   Kuch na yaad aaye,woh jazbaat kahaan say laaun.
Din to bharpoor Bahaaron main bitaaiy ham nay ,
Jashn khush hokay  bahut khoob manaay ham nay,
Geet hans Hans har ek Shaakh pay gaaye ham nay,
                                   Wahi khoye huye Naghmaat kahaan say Laaun.
Uf ! Woh barsaat ka pur-kaif suhaana manzar,
Lutf leti thi Bahaaron ka har ek simt Nazar,
Jhoomta Wajd main AA AA kay har ek Shajar,
                                    Phir wahi mousame-barsaat kahaan say Laaun.
Ye Nasheman bi hai apna , magar woh baat kahaan,
Wahi Aazaadi w be-fikri kay Lamhaat kahaan,
Dost Hamdam kahaan aur unki mulaaqaat kahaan.
                                    Woh guzaaray huye Din-Raat kahaan say Laaun.

1 comment:

Shakil Akhtar said...

woh guzare hue din raat kahaan se laoon
Ham se ziada aur kaon is nazm ko samjh sake ga. shayed yeh hamare liye hi lkhi gayi hai