Pages

Tuesday, February 1, 2011


Ham to bas Mohabbat ko  Moajza samajhtay hain,
Log is talluq ko na jaanay kya  samajhtay hain.


Muft main Zameen dekar Kal jinhain basaaya tha,
Aaj meray  Aangan ko  raasta  samajhtay  hain.


Ranjishain  panapnay ka jab Dlion main Imkaan ho ,
Qurbaton say behtar Ham  Faasla  samajhtay  hain.


Kal  talak jo ek Zarrah tha hamaari basti main ,
Aaftaab ki  Soorat kyon  huwa   samajhtay  hain.


Ek adna patthar ko main nay jab taraasha hai ,
Maahreen fan usko   Rahnuma  samajhtay hain.


Chaandi jaisay baalon ka roop waqt ne dekar,
Kisliye dikhaaya hai Aaina samajhtay  hain.


Tum nay apni aankhon main Khwaab jo sajaaya hai ,
Ham usay magar "Mamnoon" waahma samajhtay hai.


                                     DR. MAMNOON


MOBILE NO. 9305850256

1 comment:

SALEEM said...

Chaandi jaisay baalon ka roop waqt ne dekar,
Kisliye dikhaaya hai Aaina samajhtay hain.


Bahut Khoob Mamnoon Saheb Kya sher kaha hai. Wah Wah .........