Pages

Friday, February 4, 2011

NAKAAM ZINDAGI

Bargo-Gul afsarda thay khamosh si ek Shaam thee,
Har Kali Gulshan ki  Tasweeray Dil-e-nakaam  thee.
Zindagi har shay main thee ,lekin baraai naam thee,
Jaanay kin Maayusyon ,Nakaamion ki Shaam thee.

Har Kali puzmurda thee,Har phool murjhaya hua,
Hasrato Harmaan  Ka Baadal har taraf chhaya hua.
Gurbato-Iflaas ka maara hua Ek Naujawaan,
Yaas-o-Izahamlal tha jis kay Chahray say Ayaan,

Ud rahi theen uskay Daaman ki hawa main Dhajjian,
Khanda-zan thay uskay halaat par Zameen-w-Assmaan.
Jaaraha tha suye Darya Gungunaata Jhoomta ,
Apnay boseeda  say Daaman  Ko bachaata Chumta.

Kahta tha  Shoray Darya Say Ki aanay day mujhay,
Zakham khaai hain bahut ,marham lagaanay day mujhay.
Dukh uthaai is qadar ab bhool jaanay day mujhay ,
Umr bhar Aansoo bhaai,Muskaraanay day mujhay.

Too chhipa lay mujhko  apnay pyaar ki aaghosh main,
Daal day Paani  meri is Aathishay Khaamosh main.

Jaa kay Toofaan ki tarah ,Moujon say woh Takra gaya,
Jis say Dariya kay Bhi maathay par paseena aa  gaya,
Har taraf Ek Aalm Sad-Yaas-o-Hasrat  Chha  gaya,
Khauf say kaanpi Zameen aur Aasmaan tharra gaya ,

Ab na harkat thee ,na naghma tha ,na kuchh aawaaz thee,
Aur agar thee bhi  to aawaaze shikast-e- Saaz thee.

Rah kay Duniyaan main jinhain ,Khaanay ko Roti bhi nahin ,
Intehaaye Laaghri say   Tan  pay  boti  bhi  nahin,
Itlaso-Kamkhwaab  kya,Ek Langoti bhi nahin,
Jin kay kohay Ranjo-Ghum ki koi Chotee bhi nahin.

Jin ko is Duniya main  Raahat hai Na kuch Aaraam hai,
Ae "Shameem" In Baykason Ka bas yehi Anjaam hai.

                            SHAMEEN BUKHARI

No comments: