Ham to bas Mohabbat ko Moajza samajhtay hain,
Log is talluq ko na jaanay kya samajhtay hain.
Muft main Zameen dekar Kal jinhain basaaya tha,
Aaj meray Aangan ko raasta samajhtay hain.
Ranjishain panapnay ka jab Dlion main Imkaan ho ,
Qurbaton say behtar Ham Faasla samajhtay hain.
Kal talak jo ek Zarrah tha hamaari basti main ,
Aaftaab ki Soorat kyon huwa samajhtay hain.
Ek adna patthar ko main nay jab taraasha hai ,
Maahreen fan usko Rahnuma samajhtay hain.
Chaandi jaisay baalon ka roop waqt ne dekar,
Kisliye dikhaaya hai Aaina samajhtay hain.
Tum nay apni aankhon main Khwaab jo sajaaya hai ,
Ham usay magar "Mamnoon" waahma samajhtay hai.
DR. MAMNOON
MOBILE NO. 9305850256
1 comment:
Chaandi jaisay baalon ka roop waqt ne dekar,
Kisliye dikhaaya hai Aaina samajhtay hain.
Bahut Khoob Mamnoon Saheb Kya sher kaha hai. Wah Wah .........
Post a Comment